Sunday, April 28, 2019

Blog Ko google search console me kaise add kare?

 Blog Ko google search console me kaise add karte hai .

Hello dosto swagat hai aapka meri is blog www.sureread.com

Subscribe now and share

Agar aap chahte hai ki aapki blog par traffic increase ho to aapko apni blog Ko google search console me submit karni bahut hi jaroori hai.
Agar aap apni new blog Ko google search console me submit nahi karenge to aapki blog ko google par show nahi kar payenge aur aapki blog me  organic traffic nahi aayega.



Jab koi internet user apni koi bhi problem solve karne ke liye ya fir Apne kisi questions ka answer dhundh ne ke liye google par search karta hai. Agar us user ki problem solve karne ki koi tips aapki blog me hai ya fir us user ke questions ka answer aapki blog par hai to aapki blog google par first page par show hogi aur ayse hi aapki blog par traffic increase hoga google se.

But jab tak hum apni blog Ko google search console me submit nahi karenge tab tak aapki blog google par show nahi hogi.

Ab AAP itna to Jaan Gaye hoge ki google ek bahut bada aur popular search engine platform hai. Jyada tar log google sab se PEHLe open karte hai.

Agar aap google par apni blog Ko submit nahi karenge to aap 80% apni blog ka traffic lost kar sakte hai. Humari blog par jyada se jyada traffic google se hi milta hai. Isliye friends agar aap chahte hai ki aap ki blog aage nikale aapki blog par organic traffic increase ho aur aap apni blog se paise kama chahte hai to Blog Ko google search console me jaroor submit kare.

To chaliye ab hum jaante hai ki kaise hum apni blog Ko google search console me submit kar sakte hai .

Sabse pehle aapko is site https://www.google.com/webmasters/tools Ko Apne browser me open karna hai

Uske Baad aapko Apne gmail ACCOUNT se log in  karna hai.


Ab aapko Add a property par click karna hai. 

 Jaise hi aap add a property par click karenge to ek pop-up window open hogi.

Waha par aapko apni blog ka url enter karna hai. Example: https://SureRead.com
Bilkul isi tarha Apne blog ka url enter karde. Aur uske Baad aapko
Add button par click kardena hai .

Bas ab aapki blog google search console me add ho chuki hai. 1 - 2 day me aapki blog google ke andar show hone lage gi.

Uske Baad aap search console me apni blog ke liye site map Bana kar add kar sakte hai. Aur bhi bahut kuchh kar sakte apni blog ke liye.


Dosto agar aapko koi bhi problem ho to comments kar ke hum se puchh sakte hai


Agar aap humari blog Ko aage Nikal ne humari help karna chahte hai. To
Subscribe & share jaroor kare.

Apne dosto ke saath is post Ko share kare.



Thanks for visiting

And

Keep visiting

SUBSCRIBE YOUTUBE CHANNEL

Popular Posts

Follow me