Friday, November 30, 2018

Google account (Gmail id) me 2 step verification code kaise enable kare?

 Google account me 2 step verification code kaise enable kare?


Hello dosto aaj main google account (Gmail id) Ko protect rakhne ke liye ek trick batane jaa Raha hu . Agar aap Apne gmail account Ko safe rakhna chahte hai to yeh tip aapke liye helpful rahegi. Main aapko is post me ek aysi tip batane waala hu jisko use kar ke aap Apne Gmail account Ko safe rakh sakte hai aur Apne google account Ko hack hone se bacha sakte hai.


2-step verification kya hai.
Dosto 2-step verification ek security hai jo har social sites aur trusted sites me available Hoti hai.
Yeh ek bahut hi achhi security hai. Agar aap isko enable karoge to aapka account koi hack nahi kar payega Bina aapke phone ke. Agar aap apna real password bhi de dete hai to bhi saamne waala aapka account nahi open kar payega
Isme hota yeh hai ki jab aap kisi others device me apna account open karne ke liye apna email address aur password enter kar ke log in karne ki koshish karoge to aapke phone me ek message me code aayega us code Ko jab tak aap enter nahi karoge tab tak aap log in nahi kar payenge.

Vaise to google account Ko kisi aur device me open karna Mumkin hai but kuchh log hai jo dusre devise se bhi aapka Gmail id (google account) Ko hack kar sakte hai . Agar aap android smartphone use kar rahe hai to aap jaante hi hoge ki google account humare android smartphone ke liye kitna jaroori hai.  Google account se humara pura android phone connect rehta hai.

Google account hack hone par Hume bahut pareshani ho Sakti hai.
Jaise ki.
Agar aapke google account Ko kisi ne hack karliya ho to woh us google account se  apke saare images dekh Sakta hai aur download kar Sakta.
• Aapke phone ki device storage Ko reset kar Sakta hai.

• Aapke phone Ko track kar Sakta hai.

• Aapke phone me lock Laga Sakta hai. Aur bhi bahut saari pareshaniya khadi kar Sakta hai saath saath agar humara facebook account Apne gmail ACCOUNT se connect hai to apna facebook account bhi hack ho Sakta hai.

To friends don't worry main aapko google account Ko safe rakhne ke liye ek settings Ko enable karne ke  baare me batane waala hu aap Apne google account me is setting Ko jaroor enable kare.

Chaliye jante hai .

• Sabse pehle aapko is site par visit karna  hai.
myaccount.google.com

• Ab uske Baad  sign-in and security par click karna hai.

• ab next page par aapko 2-step verification par click karna hai.

• next page par aapko get started waale button par click karna hai.

• get started par click karne ke Baad aapko Apne Gmail account ka password enter karna hai apna real password enter kar ke next par click kare.

• ab aapko next page par choose Another option par click karna hai. Uske Baad text massage or voice call par click kare.

• ab next page par aapko apna mobile number enter karna hai
Apna Mobile number enter kare.
And " how do you want to get codes? " ke niche text massage ke saamne tik kar ke next par click kare.

•  ab next page par aapko code entere karna hai aapne Jo Mobile number hai us phone ek message aaya hoga aur us message me 6 digit code hoga us code Ko yaha par enter kar ke next par click kare.

• bas ab next page par Aap turn on waale option par click karde ab aapke google account me 2-step verification code enable ho Gaya hai ab AAP other device me aapne google account ko open kar ke dekh sakte hai. Password bhale hi Sahi ho but usko open karne ke liye aapke phone me message me ek code aayega jab tak aap us code Ko enter nahi karoge tab tak aap Apne Gmail account Ko open nahi kar sakte hai.

Dosto ummid karta hu ki yeh post aapko pasand aayi hogi.
Agar aapko yeh post pasad aayi ho to social sites par is post Ko Apne friends ke saath share jaroor kare taki in sabhi friends ki help ho sake.

Saath saath is blog se Jude rehne ke liye subscribe jaroor kare.



Thursday, November 22, 2018

Top 5 pubg like games for android users। Pubg कि तरह ही दिखने वाली top 5 games


Top 5 pubg like games for android users।

Pubg कि तरह दिखने वाली Top 5 games 





Hello dosto aaj main is post me top 6 games ke baare me batane waala hu jo bilkul pubg Jaisi hi hai. Aur saath saath graphic bhi bahut badhiya hai. Aur aapke phone me performance bhi achha rahega.
Top 5 pubg like games for android users
Add caption


Hum jaante hai ki sabhi log pubg games Apne android phone me khel rahe hai Abhi jyada tar android users pubg games Ko hi khelna pasand karte hai . But kuchh logo ke android phone me pubg games ka performance achha nahi hone ki wajah se pubg games khel nahi paate uski wajah aapke phone ki ram hai.

Pubg games 3gb-4gb ram waale android me phone me hi good performance Karti hai. Isliye hi main yeh post sirf unhi logo ke liye likh Raha hu jiske android phone me 1gb-2gb ram hai . Aur jiske android phone me pubg nahi khel pate .


Aaj is post me bilkul pubg Jaisi hi top 6 games ke baare me bataunga . Aur in sabhi games Ko aap Apne phone me khel payenge. To dosto aayiye jaante hai.


Top 5 pubg like games for android users.


1 ) hoppeless land : fight for survival
Hoppeless land
Add caption


Yeh game bilkul pubg Jaisi hi hai. Aur aapke phone me yeh game khel sakte saath saath aapke phone me yeh good performance bhi degi. Isme fayda yeh hai ki jab aap pubg game download karne jaaoge to aapko 1gb size download karni padegi . Aur agar aap is game Ko download karoge to sirf 312 mb yeh game aap download kar sakte hai.

Yeh game 07-feb-2018  ko release hui thi. Yaani ki pubg se pehle hi yeh game launch hui thi.


2) Survival saquad
Survival saquad
Add caption

Yeh game bhi pubg ki tarha hi aapke phone me good performance karegi yeh game aap Apne 1gb-2gb Kam ram waale android phone me khel sakte hai. Yeh play store par available hai . Uski size hai 211 mb . Matalb ki yeh game aap play store par sirf 211 mb ki game download kar sakte hai .

Iska graphic bhi bahut badhiya hai.
Yeh game 13-dec-2017 ko release hui thi.

3) Garena Free Fire
Garena free fire
Add caption

Dosto yeh game bhi pubg ki tarhi dikhne waali bahut hi best game hai aap isko Apne phone me badi hi aasani se khel sakte hai Abhi jinke phone me pubg game nahi khel pate woh log Garena free fire game ko hi khel rahe hai. Is game ka graphic bhi bahut achha hai. Aur pubg ki tarha hi is game ka  design hai.
Yeh game play store par available hai.
Download size : 352 mb
Release date.   : 20-nov - 2017

4) survivor royale.
survivor royale
Add caption

Is game Ko bhi pubg ki tarha hi design Kiya Gaya hai. Is game ke weapons and vehicles pubg ki tarha hi hai. Is game ka graphic bhi bahut achha hai aur saath saath is game ka aapke android phone me performance bhi good rahega. Yeh bahut hi achha game hai android users ke liye . Yeh game aap play store par free me download kar sakte hai.

Download size : 0.97 gb
Release date    : 14-nov-2017


5) Rules of survival
Rules of survival
Add caption

Dosto yeh bahut hi best game hai agar aap pubg game Ko chhod kar pubg ki tarha hi dikhne waali game  khelna chahte hai to yeh game bahut best hai. Is game ka graphic baaki games se bahut achha hai. Is game ke weapons and vehicles baaki game se bahut hi achha hai. Is game Ko aap play store par free me download kar sakte hai. Is game ki size pubg se bhi jyada hai but pubg game se bhi jyada achhi hai yeh game. Aap ek Baar jaroor try kare.

Download size : 1.71 gb
Release date .   : 15-nov-2017


Dosto aaj maine is post me pubg ki tarha hi dikhne waali top 5 games ke baare me bataya hai . Muje ummid hai ki yeh post aapko pasand aayi hogi.
Agar aapko yeh post pasand aayi hai to social sites par Apne friends Ko share jaroor kare. Saath saath subscribe bhi jaroor karle taki aane waali new jaankari aapko mil sake.

Aur koi bhi sawal ho to aap comments kar ke humse puchh sakte hai.


Thanks for visiting


Keep visiting.



Thursday, November 8, 2018

1 SMS sent kar ke aap kyaa kyaa kar sakte hai janiye hindi me

Sirf ek SMS sent kar ke aap kya kar sakte hai hindi me jaane.


osto aaj ki post bahut hi intresting post hai yeh bahut hi helpful bhi hai main aapko is post me ek ayse android application ki baat karne waala hu jo sachme bahut hi helpful aplication hai.
 Is android app se aap Apne friend ke mobile par sirf ek SMS sent kar ke Apne friend ka mobile hack kar sakte hai.
Best hacking software for android users
Add caption

Main aapko is post me step by step puri process bataunga but is se pehle mere blog Ko subscribe jaroor kare aur saath saath social sites par is post Ko Apne friends ke saath share bhi jaroor kare.

• Google account se hum kya kya kar sakte hai? Puri jankari

• Crook catcher android app se Apne smartphone Ko safe kaise rakhe?

• Smartphone ke sabhi apps me different lock kaise lagaye?~ super app lock for android users~all types lock available

Chaliye jaante hai .

Main jis android app ki baat karne waala hu us android app ka naame "tickle my phone " hai . Yeh app size me bahut Chhota hai but working me bahut hi better hai.

Yeh app apne friend ke mobile Ko hack karne me humari bahut help karta hai.
Aapko internet aur google play store par hacking software bahut mil jaayenge but yeh app bahut hi useful hai aur baaki android software se achha bhi hai.

To chaliye dosto Sabse pehle hum yeh Jaan lete hai ki is se hum kyaa kyaa kar sakte hai.
Tickle my phone se hum kya kya kar sakte hai?

Tickle my phone app ke fuatures bahut jyada hai isliye main jaroori fuatures ki jaankari aapko de Sakta hu agar maine tickle my phone ke all fuatures ke baare me details se bataunga to yeh post bahut lambi ho Sakti hai
.
Main aapko those fuatures aur in fuatures ke massage ki jaankari de deta hu taki aapko massage sent karne me koi problem naa ho.

• call back ( CALLMEBACK)
msg: CALLMEBACK

• call back speaker on 
Msg: 
• vibrate

• take photos ( TAKEPICTURE)
• take live picture and sent image
• play default ringtone 
• record live video and sent video footage


• Shrink for earn short url site se online paise kaise kamaye? Shrink for earn site review -make money tips in hindi

How to track cell phone? एंड्रॉयड फोन को कैसे ढुंढे ?

Aap in sabhi fuatures Ko use kar ke Apne friend ke mobile phone me  sirf ek SMS sent kar ke aasani se Apne friend ke android phone Ko hack kar sakte hai .

Tickle my phone se friend ka mobile phone hack kaise kare? Full process.

Sabse pehle aapko Apne friend ke mobile me "tickle my phone" app download kar ke install kare.
Ab uske Baad tickle my phone Ko open kare.

Open karne ke Baad first waale option par click kare.
Best hacking software for android users

Uske Baad 4 icons hoge usme se aapko ek sky blue  Pankh waale icon par click kare.
Best hacking software for android users

Jaise hi aap sky blue Pankh waale option icon par tap karenge to tickle my phone ke saare fuatures ki list aap dekh sakte hai.

Ab aapko Apne friend ke mobile me Jin fuature Ko on karna hai . Us par click kare.
Main aapko "CALLBACK " option ko try kar ke dikha Raha hu. CALLBACK par click kare.
Uske Baad next page par aapko ek Ek Massage likha huaa aayega. CALLBACK  massage " CALLMEBACK " HOTA hai uske niche save button par click kar ke us fuature Ko on karde.
Best hacking software for android users

Bas ab aapka kaam pura hogaya hai ab AAP Apne friend ke mobile Ko wapas karde. Ab Apne phone par se Apne friend ke mobile number par  ek sms sent karna hai. Us SMS me aap "CALLMEBACK" type kar ke Apne friend ke mobile me sent karde Jaise hi aap Apne phone se Apne friend ke mobile par SMS sent karoge to automatically Apne friend ke mobile  me se aapko direct call lag jayegi aur aapke friend Ko pata bhi nahi chalega.

Bas vaise hi aap tickle my phone app ke saare fuatures Ko on kar ke aur in saare fuatures ke massage yaad rakh kar aap apne friend ke mobile par sent kar ke Apne friend ke mobile Ko puraa hack kar sakte hai.

Dosto maine is post me SMS sent kar ke friend ke mobile Ko hack karne ki puri jaankari di hai.
Muje ummid hai ki yeh post aapko pasad aayi hogi.

Agar aapko yeh post pasand aaye to social sites par Apne friends ke saath share jaroor kare.

Aur koi bhi sawal ho to comments kare.

Aur saath saath Apne phone me notification paane ke liye subscribe jaroor kare.

Thanks for visiting

Keep visiting

....................

SUBSCRIBE YOUTUBE CHANNEL

Popular Posts

Follow me