Friday, November 30, 2018

Google account (Gmail id) me 2 step verification code kaise enable kare?

 Google account me 2 step verification code kaise enable kare?


Hello dosto aaj main google account (Gmail id) Ko protect rakhne ke liye ek trick batane jaa Raha hu . Agar aap Apne gmail account Ko safe rakhna chahte hai to yeh tip aapke liye helpful rahegi. Main aapko is post me ek aysi tip batane waala hu jisko use kar ke aap Apne Gmail account Ko safe rakh sakte hai aur Apne google account Ko hack hone se bacha sakte hai.


2-step verification kya hai.
Dosto 2-step verification ek security hai jo har social sites aur trusted sites me available Hoti hai.
Yeh ek bahut hi achhi security hai. Agar aap isko enable karoge to aapka account koi hack nahi kar payega Bina aapke phone ke. Agar aap apna real password bhi de dete hai to bhi saamne waala aapka account nahi open kar payega
Isme hota yeh hai ki jab aap kisi others device me apna account open karne ke liye apna email address aur password enter kar ke log in karne ki koshish karoge to aapke phone me ek message me code aayega us code Ko jab tak aap enter nahi karoge tab tak aap log in nahi kar payenge.

Vaise to google account Ko kisi aur device me open karna Mumkin hai but kuchh log hai jo dusre devise se bhi aapka Gmail id (google account) Ko hack kar sakte hai . Agar aap android smartphone use kar rahe hai to aap jaante hi hoge ki google account humare android smartphone ke liye kitna jaroori hai.  Google account se humara pura android phone connect rehta hai.

Google account hack hone par Hume bahut pareshani ho Sakti hai.
Jaise ki.
Agar aapke google account Ko kisi ne hack karliya ho to woh us google account se  apke saare images dekh Sakta hai aur download kar Sakta.
• Aapke phone ki device storage Ko reset kar Sakta hai.

• Aapke phone Ko track kar Sakta hai.

• Aapke phone me lock Laga Sakta hai. Aur bhi bahut saari pareshaniya khadi kar Sakta hai saath saath agar humara facebook account Apne gmail ACCOUNT se connect hai to apna facebook account bhi hack ho Sakta hai.

To friends don't worry main aapko google account Ko safe rakhne ke liye ek settings Ko enable karne ke  baare me batane waala hu aap Apne google account me is setting Ko jaroor enable kare.

Chaliye jante hai .

• Sabse pehle aapko is site par visit karna  hai.
myaccount.google.com

• Ab uske Baad  sign-in and security par click karna hai.

• ab next page par aapko 2-step verification par click karna hai.

• next page par aapko get started waale button par click karna hai.

• get started par click karne ke Baad aapko Apne Gmail account ka password enter karna hai apna real password enter kar ke next par click kare.

• ab aapko next page par choose Another option par click karna hai. Uske Baad text massage or voice call par click kare.

• ab next page par aapko apna mobile number enter karna hai
Apna Mobile number enter kare.
And " how do you want to get codes? " ke niche text massage ke saamne tik kar ke next par click kare.

•  ab next page par aapko code entere karna hai aapne Jo Mobile number hai us phone ek message aaya hoga aur us message me 6 digit code hoga us code Ko yaha par enter kar ke next par click kare.

• bas ab next page par Aap turn on waale option par click karde ab aapke google account me 2-step verification code enable ho Gaya hai ab AAP other device me aapne google account ko open kar ke dekh sakte hai. Password bhale hi Sahi ho but usko open karne ke liye aapke phone me message me ek code aayega jab tak aap us code Ko enter nahi karoge tab tak aap Apne Gmail account Ko open nahi kar sakte hai.

Dosto ummid karta hu ki yeh post aapko pasand aayi hogi.
Agar aapko yeh post pasad aayi ho to social sites par is post Ko Apne friends ke saath share jaroor kare taki in sabhi friends ki help ho sake.

Saath saath is blog se Jude rehne ke liye subscribe jaroor kare.



0 Comments:

SUBSCRIBE YOUTUBE CHANNEL

Popular Posts

Follow me