Saturday, October 27, 2018

YouTube ke videos Ko blogger ki post me add(embed) kaise karte hai?

YouTube videos Ko blog ki post me kaise add kare?


Hello dosto aaj ki post me  youtube ke videos Ko apni khud ki blog ki post me add karne ke baare me main batane waala hu. Agar aap blog aur youtube dono me paise ka na chahte hai to aap kama sakte hai aur agar aap Apne YouTube channel ke videos par views increase karna chahte hai to yeh bahut best tareeka hai.

Agar aapke pass blog hai aur aapke pass YouTube channel hai to aap Apne youtube channel ke videos Ko apni blog ki post me add kar sakte hai . Isme fayda yeh hai ki aapki blog ki traffic me se 30%- 50% traffic aapke YouTube channel par bhi hogi aur aapke YouTube channel ke videos par views increase ho sakte hai.

Jab aap apni blog me koi topic par post likhte hai to aap usi topic par ek video banaye aur Apne youtube channel par upload kare. Aur saath saath us video Ko apni blog ki post me add kare. Taki aapki blog par visit karne wale visitors aapka video bhi dekhe. Aida karne par humare YouTube channel ki traffic increase hogi .

To dosto ab AAP Jaan chuke hoge ki YouTube channel ke videos Ko apni blog ki post me add karne ka kya fayda hai.
To chaliye ab main aapko YouTube channel ke videos Ko apni blog ki post me add karne ki puri process bata Raha hu.

YouTube videos Ko blog ki post me add kaise kare?

Sabse pehle aapko chrome browser ya fir kisi bhi browser me youtube Ko open kare.
Uske Baad aapko Apne gmail ACCOUNT se log in kare.
Log in karne ke Baad apna youtube channel select kare.

Ab aapko Apne YouTube channel par Jana hai. Uske liye youtube me right side me profile par tap kare.
Uske Baad my channel par click kare.


Jaise hi aap " my channel " click karenge to aapka open ho jayega aur  aapke videos show hoge.


Ab aapko jo bhi videos Ko apni blog ki post me add karna chahte hai us video par click kare.

Next page par aapko us video ke niche ek share name ka option hoga us par click kare.

Share par click karne ke Baad ek pop-up window open hogi usme bahut saare social sites hogi jaise ki facebook, twitter,blogger,
Aapko usme se embed waale option par click kare.

Next page par ek html code hoga us code Ko copy kare.
Code copy karne ke Baad aapko apni blog ki post me yeh code paste karna hai.

Main aapko uski bhi process bata deta hu.

Code Ko copy karne ke Baad
Blogger.com open kare. Uske Baad aap Apne Gmail account se blogger par log in kare. Ab AAP jis post me us video Ko add karna hai us post par click kare.

Click  karne ke baad aapko post ke title ke niche html par click kare.
Bas ab aap apni post ke kis hisse me video Ko add karna chahte hai waha par us code Ko paste karde.

Bas ab aapka kaam pura ho Chuka hai compose par click kar ke dekh sakte hai ki aapka youtube video post me show ho Raha hai . Last me post ke upar update naame ke option par click kar ke apni post Ko save karle.

Dosto maine is post me youtube video Ko apni blog ki post me add karne ki puri process batadi hai .
Abhi bhi aapko problem ho Rahi hai to comments kare.

Aur saath saath is post Ko Apne friends ke saath social sites par share jaroor kare
Aur subscribe karna na bhule.


Thanks for visiting

Keep visiting ....................

0 Comments:

SUBSCRIBE YOUTUBE CHANNEL

Popular Posts

Follow me