Tuesday, October 16, 2018

Crook catcher android app se Apne smartphone Ko safe kaise rakhe?

Hello dosto aaj main ek intresting trick batane waala hu . Is post me
Is post me main aapko crook catcher app ke baare me puri jaankari dene waala hu.
Crook catcher app Ko use kar ke Apne phone ko safe kaise rakhe.
What is crook catcher app
Add caption

Agar aap Apne android phone Ko safe rakhna chahte hain to main aapko is post me ek ayse android app ke baare me bataunga jo aapke mobile Ko safe rakhne ke liye bahut hi useful hai.
Us android app ka naame hai crook catcher app hai. Yeh app play store par available hai aap waha se download kar sakte hai.

Crook catcher app kya hai?
Crook catcher app ek aysa android app hai jo humare phone Ko safe rakhne ke liye bahut hi useful hai. Agar aap Apne phone me crook catcher app Ko install kar ke rakhte hai to aapka phone chori hone se bacha Sakta hai. Jab koi aapke phone ke screen lock Ko unlock karne ki koshish karega aur jab screenlock wrong hoga tab yeh app ek front camera se lock ko unlock karne waale ki photo capture kar legi aur saath saath location bhi cache kar ke automatic aapke email par sent kar degi.
Is app me aapko aur bhi fuatures milenge but aapko 80₹ pay karne padenge . Crook catcher app bina premium version ke bahut hi achhe se work karta hai .
Agar aap crook catcher app me aur bhi fuatures use karna chahte hai jaise ki.

• Detect sim change
• Detect break in
• Alert message
• Retry email
• Change email subject
• Hide notifications
• No ads

Crook catche premium version me yeh sabhi fuatures aap use kar sakte hai but aap in sabhi fuatures Ko use karne ke liye 80₹ invest karne padenge . Tab hi aap in fuatures Ko use kar sakte hai.

Crook catcher app Ko setup kaise kare?
Ab main aapko crook catcher app Ko Apne phone me setup karne ke baare me puri jaankari dene waala hu.

Sabse pehle aapko crook catcher app Ko yaha se download kare.
Ab uske Baad aapko usko Apne phone me open karna hai. Open karne ke Baad aapko pehle step me crook catcher app Ko activate karna hai.

Activate.
Crook catcher app Ko activate karne ke liye Activate now par click kar ke crook catcher app Ko activate kare.
Ab uske Baad next par click kare.

Attempts limit 
Next step me aapko attempts limit Ko select karna hai maine 1 select Kiya hai aap bhi 1 select kare. Uske Baad next par click kare.
What is crook catcher app
Add caption

Alert email
Is step me aapko Apne email address Ko crook catcher app me activate karna hai. Taki aapke gmail me photo aur location Ko sent kar sake.
Email activate karne ke liye Activate now par click kare. Uske Baad apne gmail ACCOUNT Ko select kar ke Apne email Ko activate karle. Uske Baad next click  kare.
What is crook catcher app

• permissions
Is step me aapko camera,location,storage Ko permission Ko allow karna hai. Jab tak aap camara,lovation, storage Ko permission nahi doge tab tak crook catcher app photo aur location Ko cache nahi kar payega is liye permission Ko allow karna bahut hi jaroori hai. Camara,location,storage ke saamne arrow par click kar ke permission Ko allow karde.
Uske Baad next par click karde.
What is crook catcher app

Bas ab aapka kaam pura hogaya next step me aapko try it now par click kar ke aap try kar sakte hai. Aur screen lock par wrong password enter kare. Aur aapke Gmail par check kare. Aapko ek email aaya hoga usme photo aur location aayi hogi.

Bas ayse hi aap Apne phone Ko safe rakh sakte hai aapka phone jab bhi Kahi gir jaye ya fir chori ho jaye to aur chori karne wala jab bhi aapke phone ke screen lock Ko unlock karne ki koshish karega to automatically uski photo aur location aapke email par sent ho jayegi.

Aur aap us photo aur location se pata kar sakte hai ki aapka phone kis ke paas hai aur kaha par hai.

Dosto ummid hai ki yeh post aapko bahut pasand aayi hogi. Agar aapko yeh post pasand aaye to is post Ko Apne friends ke saath social sites par share jaroor kare. Aur saath saath subscribe jaroor kare.

ur koi bhi sawal ho to comments kare.


0 Comments:

SUBSCRIBE YOUTUBE CHANNEL

Popular Posts

Follow me