Monday, July 23, 2018

Kisi bhi android smartphone ki screen me touch arrow /show touch enable kaise kare?

Kisi bhi android smartphone ki screen me touch arrow/show touch enable kaise kare?

Hello dosto aaj ki post me main aapko bataunga ki kaise hum apne android phone me show touch enable kare . Show touch ka matlab aap samaj Gaye hoge. Aapne computer, leptop ki screen par dekha hoga jab hum computer me mouse ko swipe karte hain  to hume computer ki screen par ek arrow dikhayi deta hain bilkul vaise hi aap Apne android smartphone me bhi kar sakte hain.
How to enable show touch on android mobile
Add caption

jab aap apne mobile ki screen par kahi par bhi touch karte hain to ek arrow show hota hain. To hum yahi jaanenge aaj is post me agar aap apne android smartphone me show touch enable karna chahte hain to is post ko pura padhe.
Agar aap apne android smartphone ki screen ko record kar ke  youtube ke liye videos bana na Chahate hain to aapko touch arrow enable karna jaroori hain kyu ki agar aap show touch ko enable karenge to aapko apne mobile ki screen record kar ke aap aasani se videos me kuchh bhi sikha sakte hain ab jyaada time naa vest karte huve topic par aate hain chaliye jaante hain ki kaise hum apne mobile Ko screen par touch show kare.

Android smartphone me hide  "developer option" ko "unhide" kaise kare?
Sabse pehle to hume Apne Android smartphone me developer option ko unhide karna hain . Friends hum sab jaante hain ki sabhi android smartphone me "developer option" hota hain but woh fuature hide hota hain Hume usko unhide karna padta hain . Kyu ki agar aapko apne Android smartphone me show touch enable karna chahte hain to aapko apne Android mobile me " developer option" ko unhide karna bahut jaroori hain kyu ki show touch ka option "developer option " me hi hain. Is liye "developer option" ko unhide karna bahut jaroori hain . To aayiye Sabse pehle hum "developer option" ko unhide karne ke baare me jaan te hai.

Sabse pehle aapko apne mobile ke "settings" me Jaana hain.
Uske baad aapko "About phone " me jana hain.
How to enable show touch on android mobile

Uske baad aapko "MIUI version" par 7-8 baar click karna hain.
How to enable show touch on android mobile

 MIUI version par 7-8 baar click karne ke baad aapke phone me "developer option" unhide ho gaya hoga .

Developer options ko kaise find kare?

Sabse pehle aapko apne mobile ke"settings" par click kare.

"Additional settings" par click kare.
How to enable show touch on android mobile

"Additional settings" me scroll down kar ke aap usme "developer option" ko dekh sakte hain.

Ab aap yeh to jaan gaye ki "developer option" ko unhide kaise kare or find kaise kare ab main aapko apne mobile ki screen par show touch enable karne ki puri process bata raha hu. Chaliye jaante hain.

Android smartphone me screen show touch enable kaise kare?

Sabse pehle aapko Apne android smartphone ke " settings" me Jaana hai .
Uske baad apko "Additional settings" par click karna hain.
How to enable show touch on android mobile

 , "Additional settings" par click karne ke Baad aapko scroll down karke "developer option" par click karna hain.
How to enable show touch on android mobile

 " developer option " par click karne ke baad aapko usme bahut saare options hoge usme se aapko "show touchs"  naame ka option hoga usko "enable" par click kar ke enable karde bas ab aapka kaam pura ho gaya hain ab aap Apne Android smartphone ki screen ko touch kar ke dekh sakte arrow dikhayi de raha hoga .


Muje ummid hain ki yeh post aapko pasand aayi hogi agar aapko mobile , blogging, make money, ya fir Internet se related koi bhi jaankari ke liye subscribe jaroor kare saath saath is post ko apne friends ke saath social sites par share jaroor kare or koi bhi sawal ho to comments kare..


0 Comments:

SUBSCRIBE YOUTUBE CHANNEL

Popular Posts

Follow me