Friday, July 27, 2018

Kisi bhi images ka background kaise hataye? [ Images ko transparent banaye]

 Kisi bhi images ka background kaise hataye?
[ Image ko transparent banaye]

Hello dosto daily new jaankari dena is blog ka rule hain. Isliye humesha ki tarha aaj bhi main is  post me aapko new jaankari dene waala hu yeh jankari aapke liye bahut hi best hai. Agar aapko kisi bhi images ko transparent bana na chahte hai to yeh post aapke liye helpful rahegi is Post me hum aapko isi topic par baat karenge . Agar aapko  apni blog ya fir youtube channel ke liye logo creat karna chahte hai  ya fir apni blog or youtube ke liye thumbnail ,images Bana na Chahate hain to aapko kisi bhi images Ko transparent bana na sikhna bahut jaroori hain jab aap kisi bhi image ko transparent bana na sikh jaoge to aapko Apne youtube channel or apni blog ke liye logo , ya fir thumbnail , images Bana na bahut hi aasan ho jayega.  To ab hum topic par aate hain .
Kisi bhi image ko transparent banaye
Add caption

Chaliye jante hain ki kaise hum image Ke background ko transparent banaye

Image ko transparent bana ne ke liye hum software ka bhi use kar kar sakte hain but agar aap bina software ke image ko transparent bana na chahte hai to aap online bhi Bana sakte hain kaise to aayiye jante hain.

Sabse pehle aapko Apne mobile ke chrome browser me http://www.online-image-editor.com is site Ko open karna hain. Is site par Aap kisi bhi images Ko upload kar ke online edit kar sakte hain.

Site Ko open karne Baad aapko his image ko transparent bana na hain usko upload Karna hain.
choose file par click kar ke aap jis image Ko transparent bana ba chahte hai us image ko select kare. Uske Baad
convert during upload [PNG] ke saamne tik ✓ kare
resize during upload ke saamne tik ✓ kare.

• last me  upload  par click kar ke image ko edit karne ke liye upload karle.
Kisi bhi image ko transparent banaye
Add caption

• next page par aapne Jo image upload Kiya tha woh dikhega.
Ab Hume us image ko transparent bana na hai . Image ko transparent bana ne ke liye wizard waale option par click kare.

trans-parency par click kare.
Uske baad aapko right side me select transparent area me fuzz factor me 30% select kare.

filltype me floodfill select kare

handling me back select kare
Uske Baad draw transparent line, transparent box, renovr transparency 3 options ko vaise hi rehne de.
Sab kuchh complete hone ke Baad aapko direct image par click karna hain .
Bas ab  aap dekh sakte hai aapne Jo image upload Kiya tha woh transparent ban Chuka hain.
Kisi bhi image ko transparent banaye
Add caption

Ab us image Ko save karne ke liye .
Right side me save button par click kare.
Uske Baad next page par  3 options hoge
1 save image local
2 facebook
3 Picasa
In 3 options me se aapko 1 option par click karna hai . 1 option par Aap jaise hi click karoge to aapki transparent image download ho jayegi
Kisi bhi image ko transparent banaye
Add caption

to dosto ab aspko pata chal Gaya hoga ki kisi bhi images Ko transparent bana na koi mushkil kaam nahi hain.

Muje ummid hain ki yeh post aapko pasand aayi hogi or is post se aap image Ko transparent bana na sikh chuke hoge.

Agar aapko image transparent bana ne me abbhi bhi mushkil ho Rahi hai to comments kare.

Saath saath is blog me join hone ke liye subscribe jaroor kare.
Hamare is article Ko apne friends ke saath social sites par share jaroor kare.






0 Comments:

SUBSCRIBE YOUTUBE CHANNEL

Popular Posts

Follow me